Hum Dekhenge - Coke Studio Season 11 - Zohaib Kazi

Hum Dekhenge - Coke Studio Season 11

Zohaib Kazi

00:00

02:38

Similar recommendations

There are no similar songs now.

Lyric

Hum dekhenge, hum dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge

Hum dekhenge, hum dekhenge

Wo din ke jiska waada hai

Jo 'lauh-e-azl' mein likha hai

Hum dekhenge

Hum bhi dekhenge

Hum bhi dekhenge

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garan

Rui ki tarha udd jaayenge

Hum dekhenge

Hum mehkoom'on ke paaon tale

Ye dharti dhad-dhad dhadkegi

Aur ahl-e-hakam ke sar upar jab bijli kad-kad kardegi

Hum dekhenge

Hum dekhenge

Hum dekhenge

Bas naam rahega Allah ka

Jo gaayab bhi hai, haazir bhi

Jo manzar bhi hai, naazir bhi

Utthega "Ana-al-haq" ka naara

Utthega "Ana-al-haq" ka naara

Jo main bhi hoon, aur tum bhi ho

Aur raaj karegi khalq-e-khuda

Jo main bhi hoon aur tum bhi ho

Hum dekhenge, hum dekhenge

Hum dekhenge, hum dekhenge

Hum dekhenge

- It's already the end -